शुक्रवार, जून 09, 2006

muntazir

waqt tujhme kitna bachpanaa hai...
ghadi mein shakl aur phir bhi aazaad hai tu ..
haan apno ke paas hai shayad tabhi beparwaah hai tu..
ghabraahat ki dhak dhak mein bhi khamoshi mein masroof tu..
bhagte bhaagte na jaane kyun saham gaya hai tu...


yeh waqt bhi kitna nasamajh hai,

ruk jaata hai bina soche samjhe...
shayad saagar ki ret ka geelapan hai isme,
sookh jaata hai bina soche samjhe...
ya tumhari aankho mein chhipa moti hai woh,
beh bhi nahi paata hai bina soche samjhe...

kabhi isey bhi kisi se mohabbat hoti,

to yeh bhi ro leta bina soche samjhe...
kal isey bhi kisi ka aanchal mila hota,
to yeh bhi so leta bina soche samjhe...
beparwaah aaj na hota to kya hota,
baarisho ne rakha jise pyaasa bina soche samjhe..
aankhon ke moti patthan ho na jaate,
gar haath se chhua hota unhe kisi ne binaa soche samjhe....

waqt tujhe kiski ummeed hai..kiska intezaar hai...

बुधवार, जून 07, 2006

aadat

saansein bhi kya ajeeb hoti hain,
hamaare liye hum mein qaid hoti hain..

sochta hoon kyun aakar basti hain hummein,
shayad unko bhi ek pehchaan ki talaash hoti hai...

talaashte talaashte ek din saansein,
apni saanson mein hi kho jaati hain...

shayad kho jaana mein hi sachhi pehchaan hoti hai.......


raatein bhi kya ajeeb hoti hain,
hamaare liye jagti hain hamaare liye soti hain,

akelepan mein bhi mere saath hoti hain,
mujhe meri parchhaai se bhi chura leti hain,

jaagti raatein, soti raatein...
hazaar baatein, khaamosh baatein...
kabhi cut jaati, kabhi kaat jaati hai,
magar badki didi si apnapan de jaati hain....

shayad raatein khud bhi nipat akeli hoti hain......


baatein bhi kya ajeeb hoti hain.
kabhi tumse kabhi khudse hoti hain...

tum bin hoon to mil jaati hain...
tum sang hoon to kho jaati hain...

phir bhi bin bole hi hummein,
jaane kitni baatein ho jaati hain...

shayad baatein bholepan mein sab kuch keh jaati hain...
==============================================