रविवार, मई 28, 2006

khaatir

ek haar mein aastha ki khaatir...
bewajah jeetne ki ho ummeed aur haarne ki ho chahat...
pal bhar ko maula yeh sab ek khel banaa de...

ek shwas mein aastha ki khaatir...
maut oob jaaye jisse shayad kuch aisi zindagi ki ho aahat...
pal bhar ko maut ko bhi zindagi dila de..

ek pyaas mein aastha ki khaatir...
pyaase marne do dost, kaun jaane mil sake shayad isee mein raahat...
pal bhar ko pyaase ki aas mitaa de...

===========================
ek aanchal mein kuch sheeshe the
chehra dekhne ki koshish bhi ki

sheeshe shayad darji ki preyasee ne taanke the, har sheesha mein ek aanso ki dhundhlaahat

मंगलवार, मई 23, 2006

cheekh


aaj phir lafzo mein geet hain,

par tumhe phursat hai bhi aur nahi bhi
aaj phir saanse chal padi hain,
par zindagi ko zaroorat hai bhi aur nahi bhi
aaj phir tumhe aawaaz dene ko dil karta hai,
par dhadkan cheekh paati hai bhi aur nahi bhi
aaj phir bachpan chhoota hai,
par rona aata hai bhi aur nahi bhi

kaun jaane,
kal phir se adhar hilenge,
par geet bane na bane
kal phir maut se mohlat milegi,
par jeene ki wajah mile na mile
kal phir tum sunna chahoge,
par jubaan khule na khule
kal phir aanso beh niklenge,
par bachpana rahe na rahe..


============================

pyaasi zubaan pe lahu ki ek dhaar
nange pairo pe kaanto wali taar

bechaara taar, pyaasi zubaan ki takleef na dekh paaya..
==============================