मंगलवार, सितंबर 05, 2006

Raaste

anjaane raasto ke ajnabee ped...
pehle to chhaaya dete the mujhe...

par aaj jab wahi anjaane raaste jab jaane pehchaane ho chale hain...
jaane kyun ped bhi ab mujhe ajnabee na jaan chhaanw dene se mukarte hain...

kabhi lagta hai woh raaste jo chir parichit the,
jinpe aankhein moonde hum barso se chale aa rahe the..
jinpe chalkar bhi hum unke astitva se mukarne ka bhi sangharsh nahi karte the....
aaj wahi raaste itne ajnabee se deekh padte hain...

woh raaste jinhone mujhe in raasto par laa khada kiya..
woh raaste jo shayad kaheen in raasto par chal ke mil jaate hain...

shayad raasto ki kismat anjaano ko apnaane aur jaane pehchaano ko kho dene ki hai
anjaan raahi jo apni pyaas mita kar waapis nahi lauTte
shayad raaste bhi unki pyaas bujha unhe khojne se darte hain

darr shayad anjaane se jaane ho jaane ka
darr shayad darakhto ko chhaanw baasi ho jaane ka...

par kya pathik badalne se chhaanw taaji reh jaati hai...
kya roz darakth ek hi chhaanw dete dete ghutan nahi mehsoos karte...

shayad isee bhulaawe lo jhuthlaa dene ke liye woh naye pathik ki talaash mein bechain dikhte hain....
har ghadi har roz har pal.....

शनिवार, सितंबर 02, 2006

dhaage

ek chaadar hawa ke jhonke se ud kar aayi thi...
chaadar mein kuch aaadhe adhoore phool bane the...

phoolo ko poora karne mein bhool gaye ki woh asli nahi
kabhi sui ungliyo pe chubhi to maan lete ki woh kaante hain...
koshiso se phoolo mein jaan daalte gaye...
achanak ek din dekha ki phool mehakne lage hain...

phool cheekh cheekh kar kehte ki woh dhaage hain, bikhar jaayenge...
magar unme se aati khushboo kehti tumhi ne mujhe piroya hai bikharne thode hi doge...

kabhi mai phoolo ko poora karta to kabhi phool mujhe...
kabhi mai chaadar ko odh leta kabhi chaadar mujhe odh leti...

phir ek din achaanak ek dhoban aayi apni chaadar ki khair jaan ne...
chaadar se boli apne jism mein suiyaan piro kar kya paaya hai tumne...
yeh jise tum phool jaan rahi ho yeh rang jo tumme bhar gaye hain...
tum chaadar thi safed...rang bharne waale aksar rang badal jaate hain...

dhoban ne chaadar ko dhoya..geelepan mein chupke se chaadar royi...
idhar meri suyiyaan kho si gayi daraaz ke kisi kone mein...

dhaago ki kismat hai,
khud hi phool bante hain,
khud hi mehakne lagte hain...
bas jaate hain ek chaadar mein,
to nikal hi nahi paate bina toote..