शनिवार, अगस्त 26, 2006

parwaah

tumhari aankhein ....
mere wajood ko wajah deti...
meri har wajah ko wajood deti...

meri ummeedo mein saansein bharteen....
meri saanson ko ummeed karne ki anjaani wajah de jaati..


sookhi hui tumhari aankhein...
jaise bewajah hi mere wajood ko lalkaarti...
jaise bewajood mere hone ki har wajah ko kar jaati...

ummeed bhi saans lene se beparwaah ho jaati jinhe dekh...
saansein bhi jeevan bharne mein naummeedi jataati jinhe dekh...

geeli geeli tumhari aankhein

mere wajood se bewajah ke sawaal poochhti...
har wajah ke wajood ko pehchaanti bhi aur unse anjaan bhi...

ummeed mein pagli aankhein meri saansein sokh lengi sab...
meri pagli saansein bhi shayad isee ummeed mein bechain ab......

=====================

बुधवार, अगस्त 02, 2006

kaaghaz

maa ne ek kora kaagaz diya tha...

maine pehle chalk se likhne ki koshish ki...
bahut kuch likha...magar kuch nahi dikha...

phir maa boli pencil se likho beta...
pencil chalaayi..khoob gadaayi...todi...chheeli..ghisi..

thook se mitaane mein kaagaz kaala kar gaye...
rubber khareeda ragdaa phir bhi nishaan chhoot gaye...

us phat chuke kaagaz ko copy mein dabaa kar rakha,
magar woh pehle jaisa na huaa, na nishaan mite..

tab kalam khareedi...bade man se syaahi bhari..giraayi..bahaai..
kaagaz pe nishaan daale...thook se ragda...phaada..

dost bole pen use karo...koshish ki..woh na chali...
kaagaz pe line kheenchi magar pen na pighli...

yeh kaagaz meri maa ne mujhme jo phoonki thi woh zindagi thi...
shayad aaj bhi us phat chuke kaale ho chuke kaagaz ko talaash hai..
kisi ki jo likh sake uspe kuch sundar...
jo na jawaani ki pen ki tarah sakth ho...
jo na yauwan ki maasoom kalam ho...syaahi se dabdaaati...
jo na bachpan ki anjaan pencil ho...chhil chjil mit jaane waali..
jo na abodh chalk khadiyaa ho...jise samajh bhi na sake koi...

phir ho to kya ho...