waqt tujhme kitna bachpanaa hai...
ghadi mein shakl aur phir bhi aazaad hai tu ..
haan apno ke paas hai shayad tabhi beparwaah hai tu..
ghabraahat ki dhak dhak mein bhi khamoshi mein masroof tu..
bhagte bhaagte na jaane kyun saham gaya hai tu...
yeh waqt bhi kitna nasamajh hai,
ruk jaata hai bina soche samjhe...
shayad saagar ki ret ka geelapan hai isme,
sookh jaata hai bina soche samjhe...
ya tumhari aankho mein chhipa moti hai woh,
beh bhi nahi paata hai bina soche samjhe...
kabhi isey bhi kisi se mohabbat hoti,
to yeh bhi ro leta bina soche samjhe...
kal isey bhi kisi ka aanchal mila hota,
to yeh bhi so leta bina soche samjhe...
beparwaah aaj na hota to kya hota,
baarisho ne rakha jise pyaasa bina soche samjhe..
aankhon ke moti patthan ho na jaate,
gar haath se chhua hota unhe kisi ne binaa soche samjhe....
waqt tujhe kiski ummeed hai..kiska intezaar hai...
सदस्यता लें
टिप्पणियाँ भेजें (Atom)
2 टिप्पणियां:
bhai ye sab aapne jo first para mein likha hai woh waqt ke rukne se nahin chalne se hota hai...
agar waqt to yeh sab karna seekha doge to har koi usse us lamhe mein rok lena chahega jo usse jaan se bhi pyara hota hai...
waqt ko intezar mat karao aur uske saath saath chalo nahin to waqt kahan nikal jayega tumhe pata bhi nahin chalega...
anyways phir bhi kahunga good expression of feelings from a human perspective...
kabhi waqt bankar dekhna,
kaisa mehsoos hota hai,
insaan to jazbaat bayan kar dete hain
waqt unhe apne mein samete chalta rehta hai
insaan to sabhi b
great work man.
specially the picture u portray in the last paragraph. and the use of words flawless.
एक टिप्पणी भेजें