रविवार, अप्रैल 29, 2007

tanaa

khair chhodo sanam...kab tak chaloge mere sang tum..har pathik ki ek manzil hoti hai...aur mai to khud ek raasta hoon...saath chalunga jab tak tum chaloge...saath chhodoge jahaan waheen rahunga...tumhari talaash mein..tumhare intezaar mein...bebasi se baahien phailaunga zaroor...magar bebasi ki baahein auron ko bhi bebas kar deti hain..midas touch se....
kahaan tum kehti thi ki yeh paras ki sadak hai..

khuda haafiz zindagi...
mai maut hoon tumko kya dunga....
apne hi tareeke se...
shayad tumko raasta dikhaana hi meri manzil hai...
tumko tumhari manzil tak le jaana hi mera wajood..
tumhare pairo tale tumhe zameen dena meri fidrat..

tum kehti thi ki maut aaye to tumhari baahon mein hi...
raah pe marno waalo ko cheel utha le jaati hain..unhe dharti kahaan naseeb...

dharti meri maa hai...meri manzil hai...sadak hoon...shayad maa apni baahon mein bhar le...

maa apne aanchal mein chhipa lo aaj phir...
tumhari bahut yaad aati hai...
kuch nahi soojhta...tum hi bulaa lo....ek baar phir apne seene se lagaa zindagi ki do boondein bhar do mujhme...
shayad ek mohlat aur mil jaaye...dhoop se...

vidambanaa to dekho...uske aanchal mein maut nahi maang sakte jahaan chain se marne ka bharam hai...

======
Ghalib-e-khasta ke bagair kaun se kaam band hain...
royiye zaar zaar kya...keejiye haai haai kyun
===============================================
:-) :-) :-) :-) :-) :-) :-) :-) :-) :-) :-) :-)
================================================
mere patte sookh gaye hain to kya...
abhi mera tanaa choolhe mein jalne laayak nahi hua hai...
tanaa abhi bhi geela hai..kulhadi gadaa kar to dekho...

कोई टिप्पणी नहीं: