रविवार, अक्तूबर 14, 2007

kaanch

tumko utaar doon to pair bachaa kar chalna hoga...kaheen kaanch na gad jaaye
tumko pehne rahoon to haath sambhaal kar rakhne honge...kaheen kaanch na toot jaaye
choodiyon....kabhi mujhe bhi pehno...

tumhaari khankhan ....
meri aankhon ki mehroomiyat ki daastaan...

ki shayad kabhi tum faqat tasveer mein hi nahi thi...

woh gaanw ki maniharin...woh shahar ke muslim choodiwale...
woh masjid ki ote mein choodi bechte feriwaale
mausi didi bua...amma...

mera Aaj ek tooti choodiyon ki jhalar, seeli hui mere ghar ki deewar pe tangi..
mera har ek Kal ek lal neeli peeli choodi... meri maa ke haath pe saji...

aur ek Kal mera intezaar kar raha hai...mombatti ban kar...
choodiyaan tod.. mom se pighla.. wall hanging jo banani hai...

suna hai ab to choodiyaan bhi plastic ki hi hoti hain..

==============
meri kalam ne bhi kaanch kho diya hai..
meri kalam ne plastic apna li hai..
suna hai plastic pighalti nahi...pighne ko tarasti hai bebas...

कोई टिप्पणी नहीं: